Irfani Kalaam

Add to favourites


Tassavoor mein chale aao to sajda kar liya maine
Nigah-e-yaar se peete hi manzil paaliya maine

Khayal jannat-o-dozak ka bilkul hi nahi dil mein
Ke hooron se musafa bhi usdam karliya maine

Huae paida yeh hum sab yaar ke deedar karne ko
Nabi ke ishq mein apne sanam ko paaliya maine

Ki tere dar hi pe sajda kiya hai aye mere maalik
Magar badnaam in sab ne kiya hai sunliya maine

Ki mainhave farsh par khasta nigaahe arsh par meri
Ki buthkhane mein kaabe mein dehar mein paaliya maine

Bulaya maine mainkhane mein masjid mein gaye yeh sab
Ke yazdani ne jo sajde kiye samjadiya maine