Mankabat

Add to favourites


Daman-E-Gaus Hath Mein Ho To Gam Nahin
Toote Agar Pahad Bhi Mujhko To Gam Nahin

Toofan Mein Beda Agar Aaya To Kya Hua
Khud Gaus Khewanhaar Hai Yeh Bhi To Kam Nahin

Duba Hua Beda Bhi Nikala Hai Gaus Paak
Beda Mera Dubaae Yeh Toofan Mein Dam Nahin

Pyaare Nabi Ki Nasl Se Paida Huae Hai Aap
Mehboob-E-Khuda Hai Laqab Yeh Bhi To Kam Nahin

Yeh Gaus Paak Kabr Ke Murdeh Jila Diye
Aur Main To Khaali Hath Hoon Aulad Hi Nahin

Karne Lage Dua To Nazar Arsh Par Padhi
Is Shaks Ki Kismat Mein To Aulad Hi Nahin

Farmaya Gaus-E-Paak Yeh Marzi Khuda Ki Hai
Likha Yehi Hai Arsh Par Aulad Hi Nahin

Ki Arz Ki Sarkar Yeh Sab Jaanta Hoon Main
Dete Hai Bete Sab Ko Mujhe Dete Kyon Nahin

Sunkar Ye Wajd Aagaya Tab Gaus Paak Ko
Farmaya Peeth Mal Tujhe Beta Mile Yahin

Kadme Hazhi Ka Jo Naara Laga Diya
Har Ek Vali Ne Isko Kaboola Yeh Kam Nahin

Har Ek Vali Ko Aapne Darja Dikha Diya
Ek Chor Ko Vali Kiya Yeh Bhi To Kam Nahin

Yeh Dekhkar Karamate Sab Gaus Paak Ki
Yazdani Ko Banadiya Yeh Bhi To Kam Nahin