Irfani Kalaam

Add to favourites


Sanamkhane mein aashiq aate hai jaaya nahi karte
Nigah-e-yaar se peete hai pilvaya nahi karte

Teri tasveer khinchi hai nigahon ke kalam se
Yeh naksha dil mein hi rahta hai samjaya nahi karte

Jo aashiq ghar se jaate hai khuda ka naam le le kar
Dayar-e-mustafa mein jaakar fhir aaya nahin karte

Teri woh rehbari hai jisse maine dekha khudaae ko
Yeh aankhen rashk yun karti hai samjaya nahi karte

Dikhaya tune jalwa aur kiya mansoor ko bekhud
Chadaya tune suli par yeh samjaya nahi karte

Bakabillah ki manzil par jo shams tabrez paoonche the
Kinchaae khaal fhir unki ye samjaya nahi karte

Yeh sab samjha diya maine magar mujhko na samjhoge
Zamanewale yazdani ko samjaya nahi karte