Peer-O-Murshid Hazrat
Al-Haj Khwaja
Shaikh Muhammed Fazal
Hussain Shah
Madari Qadri Chisti
Al-Maroof Peer-E-Yazdani
(R.A.)
Aap Ki Paidaish 1915 Mein Rajgadh ka ek chota
sa kasba Khilchipur mein huei. Walid ka naam Haji Subhanji Shaikh Agwan aur
Walida Mauhtrama ka naam Sakina Bi. Aap ki 2 Behne aur 4 Bhai the.
Aap ki zindagi pe Hazrat Batakshaani (R.A.) ka bada karam raha. Bachpan mein ek
baar aap ek laahak marz mein mubtila huae. Jis marz ki wajeh se aap ke pehle
birather Ibrahim is duniya-e-faani se kooch kar gaye the. Kuch arsa baad hazrat
bhi isi marz mein mubtila huae aur is shadid marz ki wajeh se aap ke walid aap
ko apne Peer-O-Murshid Hazrat Batakshaani (R.A.) ke paas legaye aur
shifa-e-kulli ki darkhasth ki. Tab Hazrat Batakshaani ne farmaya ke ye baccha
duniya mein kam aur deen mein zyada naam roshan karega.
Bachpan se hi aap ka roojhan deen ki taraf raha. Kuch arsa baad aap ke watan ki
masjid mein namaz padhne gaye toh wahan par Imam ki kirat sun kar woh unki kirat
par ashique hogaye. Ye Buzurg-O-Bartar aage chal kar aap ke Peer-O-Murshid huae.
Dono ki umar mubaraka takriban yaksa thi. Aur ye is rishte ki zinda misaal hui
jab aap ne apne Peer-O-Murshid ki khidmat mein bait hone se pehle 7 saal aur
bait hone ke baad 2.5 saal guzare.
Phir aap ka ana mumbai hua yahan akar aap ne Mahim Shareef me Zariyae Maash
ikhtiyar kiya ek baat kabile taarif yeh thi ke waise toh aap peshe se
Darzi the lekin aap ne is kaam ko bhi itni khoobi se anjam diya ke dur daraz
se log aap ke pas kapde silwane ke liye aate aur aap Master ke naam se mashoor
hue saath saath aap apne saath rehne walon ko suluk ki barabar taalim dete.
Waise aap ka talluq silsila-e-madari se tha lekin ek din aap ke ek Aziz dost
Amiruddin urf Bhai(R.A.) ne aap se Gaiban shah Qadri(R.A.) Chalne ki khwahish zaahir
ki aur kaha aap wahan chalye aap khush ho jaayenge. mamool ke mutabik aap unke saath
Daragah par chale gaye. Lekin jab aap Gaiban shah(R.A.) ke Aastane par phonche to aap
ko pata chala ke isi dargah ki ziyarat aap bachpan se hi khwaab me Karte the.
Iske baad Hazrat Gaiban Shah (R.A.) ka faiz aap par Jaari ho gaya aur unke faiz se
aap apne roohani darjaat bulund karte chale gaye aap ki zindagi par
Hazrat Gaiban shah(R.A.) ka bada karam raha Aur isi sunnat ke chalte aaj bhi aap
ke mureedeen Hazrat Gaiban Shah(R.A.) ke dar par har Itwar(Sunday) ko haazri
dekar faiz yaab hote hai.
phir ek arse ke baad Astan-e-gaiban Shah(R.A.) se aap
ko Silsila-e-Qadri ki khilafat lene aur khidamte ummate muhammadi ka hukm hua aur
dheere dheere allah ne aap ke silsile ko Urooj baksha aur Alhamdulillah aaj yeh
silsila sirf mahim tak hi nahi balke duniya ke kone kone mein maujood hai
"Aye Shah Rang Laai tere Jaam Ki jhalak Khalqe khuda nisar kiya Hooro malak ki baat"
Read More...