Irfani Kalaam

Add to favourites


Mere dil mein tu nahi to kaun hai fhir jalwagar
Shaan-e-rehmat tu nahi to kaun hai fhir jalwagar

Main mitoonga mit raha hoon aur mitkar ke kahoon
Shaan-e-Haq hai haq ka hu haq hai tu hi tu jalwagar

Kya haqeeqat hai meri main kuch nahi sab kuch hai tu
Tera barzakh teri rooh fhir kaun hai andar jigar

Qalb-e-muztar mein tera hi noor hai roshan sada
Mera maalik mera maula hai tu hi ab jalwagar

Kya kahoon kaaba kalisa kya hajar kaisa shajar
Jab karoon tera fikr har shay mein hai tu jalwagar

Wadiyan kaisi sajaae tune apne husn ki
Aur bahar-o-bulbulo har shay mein hai tu jalwagar

Peer-e-yazdani hai tera sokhta dil yaa madar
Noor-e-haq ki roshni kar de jigar mein jalwagar